Kasai (Different from above)
Eek baar baithey-baithey socha,
chalo bazaar par nazar dauraai jaye.
Chal kar kuch cheezen uthai jayeen.
Main jyoun hi bazaar mein nikala,
mera man naa jaane kyon machala.
Main kuch aage barha to
mera man tharraya.
Saamne kasaayion ka bazaar nazar aaya.
Mere saamne hi eek kasai ne gandasa
uthaya,
Aur eek bakare ke sar ko dhar se
udaya.
Achanak mere mann mein,
ghrina si daud gayee.
Maano door akash mein kahin,
Bijli si kaondh gayee.
Main apni ghrina ko chipaa naa saka,
Mann ki aawaz ko andar daba naa saka.
Bina sochey samjhe,
main kasaai par garaj para.
Maano kasaai par bhaado sa baras pada.
Kassai chup chaap khara sunta raha.
Maano meri batoon ko,
Mann hi mann bunta raha.
Jab main bool chuka
to usne kiya eek sawaal.
Usne mera chehra safed kiya,
jo tha pahle laal.
Woh boola!
Baabooji!
Kya aapne kabhi kisi ka gala nahin
kaata?
Kaun hai is samaaj mein,
jo kisi ka gala nahin kaatta?
Kaun hai iss samaaj mein,
jo shareer na sahi,
dilon ko nahin baantta?
Aur rahi beechane ki baat!
To bik to har koi raha hai.
Grahak ki nazar mein kahin naa kahin,
tik to har koi rahaa hai.
Kahin bete to beechane baap khara hai.
Beete ko kya! Uska bas chale to,
bikne ke liye khud aap khara hai.
Kahin bulbul ko beechane sayeeyad
khara hai,
kahin se samaaj se dukhi barbaad
khara hai.
Baabooji!
Aap to eek hi
gala katta dekh kar darr gaye.
Par aapne abhi unhen to dekha hi
nahin,
jo har kisi ka galaa kaatte hain.
Har kissi ke dil ko do hisson mein
baantte hain.
Aur jo nahin bantte
unke dilon ko cheer daalte hain.
Aur unki haddiyon ko
tab tak choostey hain,
jabtak unka khoon sookh nahin jaata.
Par abhi tak duniya ki barbaadi nahin
hui.
kuon ki duniya se abhi,
Achon ki khatma aabadi nahin hui.
- satya's blog
- Login or register to post comments
- 1367 reads

![Validate my RSS feed [Valid RSS]](http://www.vshiksha.com/images/valid-rss.png)