Kanyadaan (A senti one)
Dan kare kya duniyaa mein,
jaisa daan kiyaa maine.
Dil ka eek tukda hi de dala!
Aha! Yeh kaisa daan kiya maine.
Jis beti ko jab choot lagi,
ek tees uthi mere dil se.
Aaj dil par patthar rakh kar
usi beti ko daan kiya maine.
Yeh kaisa daan kiya maine.
Beti kya! eek sahara thi.
Saare ghar ka ujiyaara thi.
Aaj ghar mein andhiyaara hai,
diye ko daan kiyaa maine.
Yeh kaisa daan kiya maine!
Dekho beta! Na thes lage,
kamal ki komal kali hai yeh.
Dekho koi dukh ho naa ise
bare naazon se pali hai yeh.
Apne gulshan ki kali tod
dooje ko daan kiya maine.
Jo yeh dhuaan uthta dekha tumne,
yeh pattakhon ka dhuaan nahin.
Jo hissa toota woh bhara nahin.
Ab khush raho tum pati patni,
tumko wardaan diya maine.
Yeh kaisa daan diya maine!
Pandit mahanth sab kahte hain,
paapon ka traan kiya maine.
Yeh kanyadaan kiya maine.
Yeh kanyadaan kiya maine.
- satya's blog
- Login or register to post comments
- 928 reads

![Validate my RSS feed [Valid RSS]](http://www.vshiksha.com/images/valid-rss.png)